Yeh maherma sitaron ki dilkashi kyaa hai Naat Lyrics

Yeh maherma sitaron ki dilkashi kyaa hai
Nabi ke husn ke age yeh chandani kyaa hai

Agar hai anaa toh anaa nabi raoze per
Aye maut tujhko bataunga zindagi kyaa hai

Nabi ki naat padhhi ja rahai hai mehfil main
Zara bataiye lab per yah khamoshi kyaa hai

Nabi ke shaher main jannat talash karta hai
Zara mujhe toh bata us jagah kami kyaaa hai

Nabi ke ishq ne lafzon ko kar diyaa anmol
Nabi ki naat hai warna ye shayri kyaaa hai

Hai jiske maula nabi uske hain ali maula
Ab ismain aur samajhna hai kyaa ali kyaa hai

Lagake takht ko thokar kaha yeh shahon ne
Teri gadai ke age shahenshahi kyaa hai

Nabi ka ishq nahin dil main hai imaan kaisa
Nabi ka ziqr nahin ho toh bandagi kyaa hai

Submit By Aaftab



Connect With us