ya khuda charkhe islam par Naat Lyrics

ya khuda charkhe islam par ta abad

mera taje sariat salamat rahe

maslake aala hazarat salamat rahe

maslake aala hazarat salamat rahe

 

ae bareli mera bage jannat hain tu

yani jalwagahe aala hazarat hain tu

bilayakin markaze  aehale sunnat hain tu

ye teri maskziyat salaamat rahe

maslake aala hazarat ………………

 

nara faize raza ka lagata rahu

najdiyo ke jigar ko jalata rahu

our kalame raza main sunata rahu

faize ahmad raza ta qayamat rahe

maslake aala hazarat ………………

 

aehale imaan tu kyun pareshan hain

rehabari ko tari kanzul imaan hain

har kadam par ye tera nigehaban hain

ya khuda ye amanat salaamat rahe

maslake aala hazarat ………………

 

roze mehashar agar mujse puchhe khuda

bole aale rasul tu laya hain kya

pais  kardunga laya hu ahmad raza

ya khuda ye amanat salaamat rahe

maslake aala hazarat ………………

 

lakha jalte rahe dusmanane raza

kam na honge kabhi madah-khwane raza

keh rahe hain sabhi aashikane raza

maslke aala hajarat



Connect With us