Wo Kamaal-e-Husn-e-Huzoor Hay Kay Gumaan-e-Naqs Jahaan Naheen
Yay-hee Phool Khaar Say Duur Hay Yay-hee Sham’a Hai Kay Dhu-aan Naheen
Do Jahan Ki Behtariyan Nahi Ke Amaniye Dilo Jaan Nahi
Kaho Kya Hain Wo Jo Yaha Nahi Magar Ik Nahi Ki Wo Haan Nahi
BaKhuda Khuda Ka Yay-hee Hay Darr Nahin Aur Koi Maffar Maqqar
Joe Wahaan Say Ho Yaheen Aakay Ho Joe Yahaan Naheen Tou Wahan Naheen
Main Nisaar Tere Kalaam Par Mili Yun To Kisi Ko Zabaan Nahi
Wo Sikhan Hai Jisme Sukhan Na Ho wo Bayaan Hain Jiska Bayaan Nahi
Hain Unhi Ke Noor Se Sab Ayaan Hain Unhi Ke Jalwo Me Sab Nihaan
Bane Subha Taabishe Mehar Se Rahe Peshe Mehar Yeh Jaan Nahi
Wahi Noor E Haq Wahi Jille Rab Hain Unhi Se Sab Hain Unhi Ka Sab
Nahi Unki Milk Mein Aasmaan Ki Jameen Nahi Ki Jamaan Nahi
Teyray Aagay Youn Hayn Dabbay Lachay Fu-saha A’rab Kay Barray Barray
Ko-ee Jaanay Muh Mayn Zubaan Naheen Naheen Balkay Jism Mein Jaan Naheen
Wo-hee Noor-e-Haq Wo-hee Zillay Rub Hai Unhee Say Sub Hai Unhee Ka Sub
Naheen Unkee Milk Meyn Aasmaan Ke Zameen Nahin Ke Zamaan Naheen
Wo-hee Laa Makaan Kay Makeen Huay Sar-e-‘Arsh Takht Nasheen Huay
Wo Nabee Hai Jiss Kay Hain Yay Makaan Wo Khuda Hai Jiss Ka Makaan Naheen
Sar-e-‘Arsh Per Hai Teree Guzar Dil-e-Farsh Per Hai Teree Nazar
Malakoot-o-Mulk Mayn Ko-ee Shay Naheen Wo Tujh Pay A’yaan Naheen
Karoon Teray Naam Pay Jaan Fida Na Buss Aik Jaan Dou Jahaan Fida
Dou Jahaan Say Bhee Naheen Jee Bharaa Karoon Kiya Karoroon Jahaan Naheen
Karoon Madhay Ahle-e-Doel Raza Parray Iss Bala Meyn Meyree Balaa
Meyn Gada Hoon Apnay Kareem Ka Meyra Deen Paara-e-Naan Naheen