Teri baat gause aazam Naat Lyrics

Allahah ki raza hai teri baat gause aazam

Kardo karam ki muj par barsaat gause aazam


Tere naam ka wasila mene jab liya dua main

Mere rab ne khud banadi meri baat gause aazam

Kardo karam ki muj par………………………………………


Main muride kadari hu jis hal main rahu par

Mere hath main rahe bas tera hath gause aazam

Kardo karam ki muj par………………………………………


Main murid kadari hu muje khauf kyu bhala ho

Muje de sake na dushman kabhi maat  gause aazam

Kardo karam ki muj par………………………………………


Rudad apne dil ki kisko sunae 'aabid'

Tum par to sab aaya hain halat gause aazam

Kardo karam ki muj par………………………………………



Connect With us