Shehr E nabi teri galiyon ka naqsha hi kuch aisa hai
Khuld bhi hai mushtaqe ziyarat roza hi kuch aisa Hai
Arshe mualla sar pe uthaye tayire sidara aankh lagaye
Paththar bi qismat chamkaye talwa hi kuch aisa hai..
Dil ko sukun de aankh ko thandak roza hi kuch aisa hai
farshe zamin par aarsh e bari ho lagta hi kuch aisa hai
Unke dar par esa jhuka dil uthne ka bhi ab hosh nahi
Ahle shariyat hai sakte me sajda hi kuch aisa hai
Sibte nabi hai pushte nabi par aur sajde ki halat hai
Aaqa ne tasheeh barha di beta hi kuch aisa hai
Kham hai yaha Jamshed o Sikandar isme kya herani hai
Unke Ghulam ka aye Akhtar rutba hi kuch aisa hai..
Submit By Rafiq Attari Modasa