Sada islam chamka hai sada islam chamkega Naat Lyrics

Sada islam chamka hai sada islam chamkega
Muhammad mustafa sally ala ka naam chamkega

Baroje hashar jab mazma lagega hauje kausar per
Shahedin ki tajalli se hamara jaam chamkega

Na ghabrao musalmano bharosa r akho aqa par
Ki zalim mitne wala hai humara naam chamkega

Agar ismain muhammad mustafa ka noor aa jaye
Sitaron ki tarah mera dile nakam chamkega

Ye kufron shirk ki kali ghatayen kya bigadengi
Ki sooraj ki tarah Qura'an ka paygaam chamkega

Na dooba hai na doobega sitara unke shohrat ka
B-fazle rab mere ahmad raza naam chamkega

Submit By Aaftab



Connect With us