Roze ki deewar se rishta jor liya Naat Lyrics

Roze ki deewar se rishta jor liya

goya ik sansar se rishta jor liya

 

sare riste nate mene taur diye

bas apni sarkar se rista jor liya


aaka ke  gustakh se rishta taur liya

aaka ke har yaar se rishta jor liya

bas apni sarkar...............................

 

mere andar ki galiya ba-ronak

taybah ke bazar se rishta jor liya

bas apni sarkar...............................


izzat dolat shoharat saraka taaj bani

jab unki  dastaar se rishta jor liya

bas apni sarkar...............................

 

unke darke khwab base hain aankho mai

gumbad or minaar se rista jor liya

bas apni sarkar...............................

 

tufan ki khud mauje paar lagaengi

jag wale athar se rishta jor liya

bas apni sarkar...............................

 

kab main pyasa reh sakata hu mahshar me

kausar ke mukhtar se rishta jor liya

bas apni sarkar...............................

 

sozo ishq 'ujagar' tere shearo se

kya tune mushtar se rishta jor liya

bas apni sarkar...............................



Connect With us