Qadri izz o rifat ki kya baat hai Naat Lyrics

Qadri izz o rifat ki kya baat hai
Sarwar dee'n se nisbat ki kya baat hai

Marja e ahl e haq aasta'n hai tera
Dar ki noorani rangat ki kya baat hai

Gardan e Awliya par qadam hai tera
Teri noorani kiswat ki kya baat hai

Unke dar se bana duzd Rab ka wali
Ghous ki is inayat ki kya baat hai

Aapke dar ka karta hai kaaba tawaaf
Waah is jaah o hashmat ki kya baat hai

Manga qatra to darya ata kar diya
Unke jood o sakhawat ki kya baat hai

Tu hai shaida e Ghous ul wara aye "Tameem"
Marhaba teri qismat ki kya baat hai

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Az qalam- Peerzada Syed Tameem Hussaini Ashrafi
Farzand e Sajjada Nasheen Bargah e Huzoor Qutbe Raichur
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖



Connect With us