nazar me basa hai jamale madina Naat Lyrics

Nazar me basa hai jamale madina

Mera rahnuma hai khyale madina

Nazar mai basa hai……………………….


Wo jannat bhi kurban hui ja rahi hai

Samaz se wara hai kamale madina

Nazar mai basa hai……………………….


Mila noor firdos ko sadaka unka

Ajab rang par hai jamale madina

Nazar mai basa hai……………………….


Gunahgar paate hain jannat sada ki

Ae rizwan ye hai kamale madina

Nazar mai basa hai……………………….


Nahi koy hasrat siva iske aaka

ke hai dafan hona suwale madina

Nazar mai basa hai……………………….


Dame naz-a aashiq pe aehsaan kardo

Ke wo chahata hai wisale madina

Nazar mai basa hai……………………….


Sare hashr kehdo 'rafi' id karle

Nazar aa gaya hai hilale madina

Nazar mai basa hai……………………….



Connect With us