Manqabat e taaj ush shariyath Naat Lyrics

Peer-e-bar'haq murshid-e-zeeshan hain AKHTAR RAZA
AHL-E-SUNNAT ki akele jaan hain AKHTAR RAZA!


Mufti-e-azam k khwabo'n ki haseen tabir hai
Bul'hussain-o-ahmedi faizan hai AKHTAR RAZA


Hai zamane mei musalla unki ilmi shaksiyath
Najdiyo'n k waastay chattan hai AKHTAR RAZA


Haat ay ulfat mera hai AZHARI k haat mei
Meri baqshish ka haseen samaan hai AKHTAR RAZA!Connect With us