Mana ke mai Sarkar Gunahgaar Bahut hu Naat Lyrics

Mana ke mai Sarkar Gunahgaar Bahut hu
Mehshar me shafa'at ka talabgaar bahut hu

Aasi hun Shaha dijiye rehmat ka sahara
Mujrim hun gunaho me giraftaar bahut hu

Ye hai meri auqaat ghulame Shahe dee hun
Par itna kahoonga ke siyahkaar bahut hu

Hasrat hai meri maut Madine me hi aaye
Tayba ke nazaro ka talabgaar bahut hu

Daman Nabi ka thaam liya hai Tameem ne
Sunle aye munafiq mai samjhdaar bahut hu

Submit By Syed Tameem Ashraf Hussaini



Connect With us