main to aashiq hu nabi ka Naat Lyrics

main to aashiq hu nabi ka (saw)

main to aashiq hu nabi ka (saw)

 

zikre sarwar mai muje khoya huva rehane do

isme duniya jo khafa hain to khafa rehane do

ya muhmmad(saw) ka wazifa hai labo par har gam

dil ko bas yaade muhmmad(saw) mai fanaa rahane do

main to aashiq hu nabi.....................................................

 

dil mai nabi ki yaade ne dera jama liya

sare gamo se aap ke gam ne bacha liya

qubaan jao ya nabi  tera makam par

tumne to paththaro ko bhi kalama parha liya

wiraniya na aaegi aankho mai ab kabhi

khake dare rasul ka surma laga liya

sine mai hai bahar sa maila laga huwa

jab se tumhare dard ko mehma bana liya

main to aashiq hu nabi...............................

 

gulamiye rasul ka tohafa saja ke dekh

nadan unke darpe tu sar ko zuka ke dekh

aati hai kese josh mai rahmat huzur ki

tu dastane gam zara unko suna ke dekh

kadmo mai tere honge khzane jahan ke

ik bar unke naam pe sab kuch luta ke dekh

main to aashiq hu nabi...................................

 

jaha jaha bhi gaae wo karam hi karte gaae

kisi ne manga na manga wo zoli bharte gaae

ye unki banda nawazi ka hi karam hai ke

mere nasib the bigare magar sawarate gaae

main unki dar ki gulami pe kyu na naaz karu

sahara unka raha din mere guzrat gaae

main to aashiq hu nabi...................................

 



Connect With us