main aasi hoon magar tu hai gaffar ya allah Naat Lyrics

Main aasi hoon magar tu bara gaffar ya allah

Karam se apne karde mera bera paar ya allah


Sama jae mere dil main muhbbat ke tere jalwe

Jidhar dekhu nazar aae tera anwar ya allah

Karam se apne karde mera bera…………………………


Kadam bosi mayassar ho tere mahabub ki yarab

Rahu banakar gulame sayyide abrar ya

Karam se apne karde mera bera…………………………


Tamnna hain ke apni zindagi main dekhalu main bhi

Tere pyare tere mahabub ka darbar ya allah

Karam se apne karde mera bera…………………………


Teri rahmat nazar aae kisi surat in aankho ko

Mere bigare huwe ban jae karobar ya allah

Karam se apne karde mera bera…………………………


Rahu teri raza par main hamesha sabiro sakir

Na de duniya ka koi gam muje aazar ya allah

Karam se apne karde mera bera…………………………


Tamannae dili ye hain janabe gaus aazam ka

Dikhade pyara pyara noorani darbar ya allah

Karam se apne karde mera bera…………………………


Tere dariyae rahmat main ho tugyani pae bakhshish

Ho 'kasim' hashr main jab hazir darbar ya allah

Karam se apne karde mera bera…………………………



Connect With us