Likh Raha Hoon Naat E-Sarwar Naat Lyrics

Likh raha hoon naat e sarwar, sabz gunbad dekh ker
Kaif tari hai kalam per, sabz gunbaad dekh kar.

Hai muqadar yavri per, sabz gunbaad deikh ker
Phir na kyun jhumay sana ger, sabz gunbad dekh ker.

Masjid e Nabvi pay puhnchay marhaba salle ala
Ho gaya jari zubaan per, sabz gunbad dekh kar.

App say bus, aap hee ko, mangta hai ya nabi
Aap ka adna sana gar, sabz gunbad dekh ker.

Aah aie Attar tujhsay itna bhi na ho saka
Jaan ker deta nichawar, sabz gunbad deikh kar.

Likh raha houn naat e sarwar, sabz gunbaad dekh ker
Keif tari hai qalam par, sabz gunbaad deikh ker.



Connect With us