Kaun Kehta Hai Aankhei(n) Chura Kar Chale Naat Lyrics

Kaun Kehta Hai Aankhei(n) Chura Kar Chale
Kab Kisi Se Nigahe Bacha Kar Chale

Kaun Unse Nigahe Lada Kar Chale
Kiski Taaqat Hai Jo Aankhein(n) Mila Kar Chale

Wo Hansi Kya Jo Fitne Utha Kar Chale
Haan Hansi Tum Jo Fitne Mita Kar Chale

Rabb Ke Bando Ko Rab Se Mila Kar Chale
Jalwa E Haq Wo Humko Dikha Kar Chale

Jagmaga Daale Galiya(n) Jidhar Aaye Woh
Jab Chale Wo To Kooche Basa Kar Chale

Koi Maane Na Maane Ye Wo Jaan Le
Seedha Raasta Wo Sabko Bata Kar Chale

Badd Se Badd Ko Liye Jisne Agosh Me
Kab Kisi Se Wo Daaman Bacha Kar Chale

Jo Kameene The Unko Muaz-zaz Kiya
Wo Razilo Ko Seene Laga Kar Chale

Jism Par Noor Ka Yu To Saaya Na Tha
Aur Path-thar Me Nakshe Jama Kar Chale

Marte Dam Sar Dar E Paak Par Rakh Diya
Iss Adaa Se Kaza Hum Adaa Kar Chale

Kisi Jaanib Se Aayi Nida E Huzoor
Mujrimo Ki Rihayi Ka Kya Kar Chale

Daagh E Dil Humne Noori Dikha Hi Diya
Dard E Dil Ka Fasana Suna Kar ChaleConnect With us