karam hi karam hai Naat Lyrics

Karam hi karam hai Karam hi karam hai

Karam hi ke sadake se kaim bharam hai


Mere dil shikasta ki aahe suno tum

Tumhare hi rab ki tumhe ab kasam hai


Baras jae chhinte mite dil ke dhabbe

Tumhare tasarruf me abre karam hai

Karam hi karam hai……………………………….


Muje apne dar par bulate hi rehana

Tumhari hi aadat to judo karam hai

Karam hi karam hai……………………………….


Kahu kis se jakar main gam ki kahani

Mere rubru aap hi ka haram hai

Karam hi karam hai……………………………….


Safaat ka sahil hai 'shakir' tumhara

Siva kaun tere safie umam hai



Connect With us