Hajj Pe Jana Mubarak Naat Lyrics

Arey Hajjiyon Hajj Pe Jana Mubarak...
Madina Mubarak...
Woh Makkah Mubarak...
Arey Hajjiyon Hajj Pe Jana Mubarak…

Yahan Dekhna Zaib-e-Tan  Kar Kay Arhaam...
Baja Lana har haal main Rab Kay Ihakam....
Yeh shoq - or raqbat
Yeh jazba Mubarak
Arey Hajjiyon Hajj Pe Jana Mubarak…

Haram ko qadam Talbiya ki Saadein
Woh jazbon sey mamoor woh ankhein woh ahain
Toh pehli nazar ka woh jalwa mubarak...
Arey Hajjiyon Hajj Pe Jana Mubarak...-

Woh Jee bhar kay rona manajat karna
Mohabat say shikway shikayat karna --
Woh rona mubarak seesakna mubarak --
Arey Hajjiyon Hajj Pe Jana Mubarak…

Yahan Kay zara or kuch or dhab hein
Makame barahi main par mustehib hein...
Dar-e-Multazum pe lapakna mubarak...
Arey Hajjiyon Hajj Pe Jana Mubarak…

Kharama Kharama woy Kabay Kay chakar
Woh chalna, wo chalte hi jana seemat kar
Nai Nai Duawon ka parhna mubarak
Arey Hajjiyon Hajj Pe Jana Mubarak…

Agar chay thakan say bohat choor hona
Yeh shoq-or jazbe say mamoor hona...
Phir akhir main zam zam ka peena mubarak
Arey Hajjiyon Hajj Pe Jana Mubarak…

Ghirohon ki saorat main arfat jana
Faqat Rab ki Khatir wahan jama hona
Toh phir Hajj kay Khutbay ka sunna mubarak
Arey Hajjiyon Hajj Pe Jana Mubarak…

Woh Khaimon ki basati ka aabad hona
Woh muzdalfah main aap ka raat rehna
Minah ki woh ronaq, woh jalwa mubarak
Arey Hajjiyon Hajj Pe Jana Mubarak…

Woh Qurbani karna woh Makkay palatna
Ebaadat karna, ziyaraat- karna
Kay Ga-re-Hira per woh charhna mubarak
Arey Hajjiyon Hajj Pe Jana Mubarak…

Tawa-fe ziyarat woh kabay kay chakar
Ramal yani chalna woh airi utha kar
Yun Sunnat samajh kar Akarhna mubarak...
Arey Hajjiyon Hajj Pe Jana Mubarak…

Safa or Marwa pe jana Saii ko
Naya roop dena yahan zindagi ko
Woh Sunnat zar tez chalna mubarak
Arey Hajjiyon Hajj Pe Jana Mubarak…

Madina , Madina, Madina , Madina
Madina , Madina, Madina , Madina
Madina madinay ki kia baat likhoon
Tamanaon ki ik barat likhoon
Sakoon ki fizaon main aana mubarak
Arey Hajjiyon Hajj Pe Jana Mubarak…

Submit By Azhar Raja



Connect With us