बाग़ जन्नत के हैं बहार-ए-मद्हा खाने अहले बैत
तुमको मुज़्दा नार का ऐ दुष्मनान-ए-अहले बैत
किस ज़बान से हो बयान इज़्ज़-ओ-शान-ए-अहले बैत
मद्हा गो-ए-मुस्तफ़ा है मद्हा खाने अहले बैत
उनकी पाकी का ख़ुदा-ए-पाक करता है बयान
आया-ए-तत्हीर से जाहिर है शान-ए-अहले बैत
मुस्तफ़ा इज़्ज़त बढ़ाने के लिए तज़ीम दें
हैं बुलंद इक़बाल तेरा दूध माने अहले बैत
अपना सौदा बेच कर बाज़ार सुना कर गए
कौन सी बस्ती बसाई ताज़िरान-ए-अहले बैत
रमज़ का मैदान बना है जलवाग़-ए-हुस्न-ओ-इश्क़
कर्बला में हो रहा है इन्तिहाँ-ए-अहले बैत
फूल ज़ख्मों के खिलाए हैं हवा-ए-दोस्त ने
ख़ून से सिंचा गया है गुलिस्ताँ-ए-अहले बैत
हूरें करती हैं आरूशाने-ए-शहादत का सिंगार
ख़ुबसूरत दूल्हा बना है हर जवाँ-ए-अहले बैत
जुमा का दिन है किताबें ज़िस्त की तैय कर के आज
खेलते हैं जान पर शहज़ाद-गाने अहले बैत
ऐ शबाब-ए-फस्ले गुल ये चलाई कैसी हवा
कट रहा है लह-लहाता बुसतान-ए-अहले बैत
किस शक़ी की है हुकूमत हाय क्या अँधेर है
दिन-दहाड़े लुट रहा है करवाने-ए-अहले बैत
ख़ुष्क हो जा ख़ाक होकर ख़ाक में मिल जा फ़ुरात
ख़ाक तुझ पर देख तो सूखी ज़बानेँ अहले बैत
ख़ाक पर अब्बासो उस्माँ-ए-आलम बर्दर हैं
बे-क़ासी अब कौन उठाएगा निशाने-ए-अहले बैत
तेरी कुदरत जनवर तक आब से सेहराब हैं
प्यास की शिद्दत में तड़पे बे-ज़बानेँ अहले बैत
क़ाफ़िला-सलार मंज़िल को चले हैं सौंप कर
वारिस-ए-बे-वारिसाँ को करवान-ए-अहले बैत
फ़ातिमा के लाड़ले का आख़री दीदार है
हश्र का हंगामा बरपा है मय्यां-ए-अहले बैत
वक्त-ए-आख़िर कह रहा है ख़ाक में मिलता सुहाग
लो सलाम-ए-आख़री ऐ देवगाने अहले बैत
किस मज़े की लज़्ज़तें हैं आब-ए-तैग-ए-यार में
ख़ाक-ख़ून में लौटते हैं तिश्नगाने अहले बैत
बाग़-ए-जन्नत छोड़ कर आए हैं महबूब-ए-ख़ुदा
ऐ जाहे किस्मत तुम्हारी पूछतगाने अहले बैत
हूरें बे-परदा निकल आई हैं सर खोले हुए
आज कैसा हश्र है बरपा मय्यां-ए-अहले बैत
कोई क्यों पूछे किसी को क्या गया ऐ बे-कसी
आज कैसा है मरीज़-ए-नीम जाने अहले बैत
घर लुटाना जान देना कोई तुझसे सीख ले
जान-ए-आलम हो फ़िदा ऐ खानदान-ए-अहले बैत
सर शहीदान-ए-मुहब्बत के हैं नाज़ों पर बुलंद
और उंची की ख़ुदा ने क़द्र-ओ-शान-ए-अहले बैत
दौलत-ए-दीदार पाई पाक जानें बेच कर
कर्बला में खूब ही चमकी दुक़ाँ-ए-अहले बैत
ज़ख़्म खाने को तुअब-ए-तैग पीने को दिया
खूब दावत की बुला कर दुष्मनान-ए-अहले बैत
अपना सौदा बेच कर बाज़ार सुना कर गए
कौन सी बस्ती बसाई ताज़िरान-ए-अहले बैत
हो गई तहक़ीक़ ईद-ए-दीद आब-ए-तैग से
अपने रोज़े खाते हैं सैमाना-ए-अहले बैत
अहले बैत-ए-पाक से ग़ुस्ताखियाँ बे-बाकियाँ
लानतुल्ला ही अलेकुम् दुष्मनान-ए-अहले बैत
बे-अदब ग़ुस्ताख़ फ़िरक़े को सुना दे ऐ हसन
यूं कहा करते हैं सुन्नी दस्तान-ए-अहले बैत
Submit by Abdus Salim
=================================
Baagh E Jannat Kay Hain Behr-E-Madh-Khwaan-E-Ahle Bayt
Tum ko muzhdah naar ka aay dushmanaan e Ahle Bayt
Kis zabaan se ho bayaan ‘izz o shaan e Ahle Bayt
Madh goye Mustafa hain madhkhwaan e Ahle Bayt
Unki paaki ka Khuda e Paak karta hai bayaan
Aayah e Tatheer se zahir hai shan e Ahl e Bayt
Mustafa izzat barhanay kay liye ta’zim dein
Hai buland iqbal tera doodmaan e Ahle Bayt
Unkay ghar bay-ijazat Jibril aatay nahin
Qadr walay jaantay hain, qadr-o-shan e Ahle Bayt
Mustafa ba’ey kharidar uss ka Allah ishtari
Khoob chaandi kar raha karwaan e Ahle Bayt
Razm ka maidan bana hai jalwah gaah e husn o ‘ishq
Karbala mein ho raha hai imtehan e Ahle Bayt!
Phool zakhmon kay khilaaye hain hawaaye dost ne
Khoon say seenchaa gaya hai gulsitan e Ahle Bayt
Hoorain karti hain ‘aroosan e shahadat ka singaar
Khoobru dulha bana hai har jawaan e Ahl e Bayt
Ho gayee tahqiq e ‘eid e deed aab e taigh se
Apne rozay kholtain hain sa’imaan e Ahle Bayt
Jumua’h ka din hai, kitabain zeest kii tai karke aaj
Khailtay hain jaan par shahzadgaan e Ahl e Bayt
Aay shabab e fasl e gul yeh chal gayee kaisee hawaa
Katt raha hai lehlehata bustan e Ahle Bayt
Kis shaqqi ki hai hukumat, haaye kya andher hai
Din dihaaray lutt raha hai kaarwaan e Ahle Bayt
Khushk ho jaa khaak ho kar, khaak mein mil jaa aay Furat
Khaak tujh par dekh tu sookhi zabaan e Ahle Bayt!
Khaak par Abbaas o Uthman Alambardar hain
Baikasi ab kaun uthaaye ga nishan e Ahle Bayt?
Teri qudrat jaanwar tak aab se seraab hon
Pyaas kii shiddat mein tarpay bai-zabaan e Ahle Bayt
Qafila salaar manzil ko chalay hain saunp kar
Waris e bay-warisan ko kaarwaan e Ahle Bayt
Fatima kay laadlay ka akhri deedar hai
Hashr ka hungama barpaa hai miyaan e Ahle Bayt
Waqt e rukhsat keh raha hai khaak mein miltaa suhaag
Lo salam e aakhri aay bewgaan e Ahle Bayt
Abr fauj e dushmanaan mein ay falak yoon doob jaaye
Fatima ka chand mehr e aasmaan e Ahle Bayt
Kis mazay kii lazzatein hain, aab e taigh e Yaar mein
Khaak o khoon mein loottay hain tishnigaan e Ahle Bayt
Bagh e jannat chorr kar aaye hain Mahboob e Khuda
Aay zahe qismat tumhaarii kishtgaan e Ahle Bayt
Hoorain bay-pardah nikal aayii hain sar kholay hu’ay
Aaj kaisa hashr hai barpaa miyaan e Ahle Bayt
Koii kyoon pooche kissi ko, kyaa gharz aay baikassi?
Aaj kaisa hai mareez e neem jaan e Ahle Bayt
Ghar luTana jaan dena koii tujh se seekh jaaye
Jaan e aalam ho fida aay khandan e Ahle Bayt
Sar shaheedan e mohabbat kay hain naizon par buland
Aur oonchii kii Khuda ne qadr o shaan e Ahle Bayt
Dawlat e deedar paayii paak jaanein baich kar
Karbala mein khoob chamkii dukaan e Ahle Bayt
Zakhm khaanay ko to aab e taigh peenay ko diya
Khoob da’wat kii bulaa kar dushmanaan e Ahle Bayt
Apna sauda baich kar bazaar soona kar gaye
Kaunsee basti basaii taajiraan e Ahle Bayt
Ahle Bayt e paak se gustaakhiyaan, bai-baakiyaan
La’anatullahi ‘alaykum aay dushmanaan e Ahle Bayt
Bay adab, gustaakh firqay ko sunaa do aay Hassan
Yoon kaha karte hain Sunni, daastaan e Ahle Bayt!








