Aariz-e-shams-o-qamar sey bhi hain anwar aeriyan Naat Lyrics

Aariz-e-shams-o-qamar sey bhi hain anwar aeriyan,
Arsh ki aankhon key taare hain wo khushtar aeriyan.

Jaa baja par to figan hain aasmaan par aeriyan,
Din ko hain khursheed shab ko maah-o-akhtar aeriyan.

Najm gardoon to nazar aate hain chote aur wo paaon,
Arsh par phir kyoon na hon mehsoos laaghar aeriyan.

Dab key zer-e-paa na gunjaish samaane ko rahi,
Ban gaya jalwa kaf-e-paa ka ubhar kar aeriyan.

Un ka mangta paaon sey thukra de wo duniya ka taaj,
Jis ki khaatir mar gaye mun’am ragar kar aeriyan.

Do qamar do panja-e-khowr do sitaare das hilaal,
Un key talwe panje naakhun paaye athar aeriyan.

Haaye us patthar sey is seene ki qismat phoriye,
Be takalluf jis key dil mein yoon karein ghar aeriyan.

Taaj-e-roohul quds key moti jise sajdah karein,
Rakhti hain wallah woh pakizah gauhar aeriyan.

Ek thokar mein uhad ka zalzala jaata raha,
Rakhti hain kitna waqaar Allahu Akbar aeriyan.

Charkh par charhte hi chaandi mein siyahi aa gayi,
Kar chuki hain badr ko taksaal bahar aeriyan.

Aay RAZA toofan-e-mehshar key talatum sey na dar,
Shaad hon hain kashti-e-ummat ko langar aeriyan.

Submit By Smn khan



Connect With us