sun lo khuda kay wastay apnay gada ki arz Naat Lyrics

Sun lo khuda kay wastay apnay gada ki arz

ye arz hai huzur bare benawa ki arz

sarkar bulayenge sarkar bulayenge

ghabrao na deewano sarkar bulayenge


hum masjide nabwi ke dekhenge minaro ko

or gumbade khazara ke purnur nazaro ko

hum jake madina phir wapas nahi aayenge

ghabrao na deewano sarkar .....................

 

mil jayengi tabire ik roz khwabo ki

gir jayengi diware tum dekhana raho ki

phir roz-ae akadas par hum aansu bahayenge

ghabrao na deewano sarkar .....................

 

jab hashr ke maidan mai ik hashr bapa hoga

jab faisla ummat ka karne ko khuda hoga

ummat ko shahe batha daman me chhupayenge

ghabrao na deewano sarkar .....................

 

lillaha muhammad(saw) se roodad meri kehna

ye puchh ke aaka se ai hajiyo tum aana

'ishrat' ko shahe-batha kab aap bulayenge

ghabrao na deewano sarkar .....................



Connect With us