Rahey jate hein ye arman haye mere sine mein Naat Lyrics

Rahey jate hein ye arman haye mere sine mein
Na kabe ki gali dekhi na pahuncha mein madine mein

Suna hai noor ki barsat hoti hai madine mein
Ilahi ! ek chhinta aa lage ham sab ke sine mein

Muhammad is tarha tashrif farman hein madine mein
Ke jaise sura e yaseen ho qur'aan ke sine mein

Muhammad ki judai aag bhadkati hai sine mein
Rawan jab dekhti hun kafile hajj ke mahine mein

Rahey jate hein ye arman haye mere sine mein
Na kabe ki zameen dekhi na pahunchi mein madine mein



Connect With us