Qaseeda e meeraj Naat Lyrics

Sare La-Makan se talab hue
Su-e-Muntaha Wo chale Nabi
Koi had hai Unke Ururz ki
Balagal Ulabi Kamalihi

saf-arah sab Hoor Malak Aur Gilma Khuld sajate hein
Ek dhoom hai Arshe Aazam par Mehman Khuda ke aate hein

Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha

Ya Mustafa Ya Mujtaba

Salle Ala Mere Aaqa Hai
Aaj Falak Roshan Roshan Hein

Taare bhi jagmag jagmag
Mehboob Khuda ke aate hein
Mehboob Khuda ke aate hein

Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha


Wo Sarware Kishware Risalat Jo Arsh par Jalwaghar hue the
Naye Nirale Tarab ke Saman Arab ke Mehman ke liye the
Waha falak par yaha zameen mein Rachi thi shadi machi thi dhoomein
Udhar se Anwar hanste aate Idhar se Naf'hat uth rahe the
Utar kar Unke Rukh ka sadqa Wo noor ka bar raha tha bada Ke
Ke Chand Suraj machal machal kar Jabeen ki khairat mangate the
Wahi to ab tak chhalak raha hai Wahi to Joban tapak raha hai
Nahane mein jo gira tha pani Katore Taaron ne bhar liye the
Bacha Jo Talwon ka Unke Dhowan Bana Wo Jannat ka Rango Rogan
Jinhone Dulha ki payi Utran Wo Fool Gulzare Noor ke the

Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha

Qurban hai Shano Azmat par Soye hein
chain se bistar par Jibrile Ameen hazir hokar
Me'raj ka Muzda sunate hein Jibril Buraq saja kar ke
Firdose Bari se le aaye Barat Firishton ki aayi
Me'raj ko Dulha jate hein Hai saf-arah sab
Hoor Malak Aur Gilma Khuld sajate hein
Ek dhoom hai Arshe Aazam par Mehman Khuda ke aate hein

Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha

Gubar ban kar nisar jaaun Kahan ab Us rah-guzar ko paoon
Hamare Dil Hooriyon ki Aankhein Firishton ke par jahan lage the
Bahar hai Shadiyon Mubarak Chaman ko Aabadiyan Mubarak
Malak Falak Apni Apni leh mein Ye Ghar-ana Dil ka bolte the
Khushi ke Badal Umat ke aaye Dilon ke Taoos rang laye
Wo Nagma-e-Naat ka sama tha Haram ko khud Wajd aa rahe the
Tabarakallah hai Shan Teri Tuji ko Zaiba hai be-Niyazi
Kahin to Wo Joshe Lan-Tarani Kahin Takaze Wisal ke the
Badh Aye Muhammad Karin ho Ahmed Qarib aa Sarware Mumajjad
Nisar Jaun Ye Kya Nida thi Ye Kya Sama tha Ye Kya Maze the
Hijab Uthne mein lakhon parde Har Ek Parde mein Lakhon Jalwe
Ajab gadi thi ke Wasle Furkat Janam ke bichhde gale mile the
Wahi hai Awwal Wahi hai Aakhir Wahi hai Batin Wahi hai Zahir
Usi ke Jalwe Usi se Milne Usi se Uski taraf gaye the

Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha

Aqsa mein Sawari jab pahunchi Jibreel ne badh ke kahi Takbeer
Nabiyon ki Imamat ab badh kar Sultane Jahan farmate hein
Wo Kaisa hasin manzar hoga Jab Dulha bana Sarwar hoga
Usshaq Tasawwur kar kar ke Bas rote hi reh jate hein
Hai saf-arah sab Hoor Malak Aur Gilma Khuld sajate hein
Ek dhoom hai Arshe Aazam par Mehman Khuda ke aate hein

Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha

Namaze Aqsa mein tha yahi sirr Ayan ho mana-e-Awwal Aakhir Ke
Dast basta hein pichhe hazir Jo Saltanat aage kar gaye the
Nabi-e-Rehmat Shafi-e-Ummat Raza pe Lillah ho Inayat
Ise bhi In Khil'aton se hissa Jo khas Rehmat ke waan bate the

Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha

Ya Mustafa Ya Mujtaba Salle Ala Mere Aaqa Allah ki Rehmat se
Dilbar Jaa Pahunche Dana ki manzil par
Allah ka Jalwa bhi dekha Deedar ki lazzat paate hein
Me'raj ki Shab to yaad rakkha Fir Hashr mein
kaise bhulenge Attar Isi ummid pe Ham Din Apne guzare jate hein
Hai saf-arah sab Hoor Malak Aur Gilma Khuld sajate hein
Ek dhoom hai Arshe Aazam par Mehman Khuda ke aate hein

Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha

Submit By Ashrafi gayas



Connect With us