Mustafa Khairul Wara Ho Naat Lyrics

Mustafa khair-ul-waraa ho,
Sarwar-e-har do saraa ho.

Apne achchon ka tasadduq,
Hum bado(n) ko bhi nibaaho.

Kis key phir ho kar rahein hum,
Gar tumhin hum ko nah chaaho.

Bad hansei(n) tum un ki khaatir,
Raat bhar ro-ow karaho.

Bad karein har dam buraayi,
Tum kaho un kaa bhalaa ho.

Hum wohi naashustah roo hain,
Tum wohi behr-e-’ataa ho.

Hum wohi shaayaane rad hain,
Tum wohi shaan-e-sakhaa ho.

Hum wohi be-sharm-o-bad hain,
Tum wohi kaan-e-hayaa ho.

Hum wohi nang-e-jafaa hain,
Tum wohi jaan-e-wafaa ho.

Hum wohi qaabil sazaa key,
Tum wohi rahm-e-Khuda ho.

Charkh badl-e-dahr badle,
Tum badalne sey waraa ho.

Ab humein ho(n) sahw haa shaa,
Aisi bhoolo(n) sey judaa ho.

Umr bhar toh yaad rakkha,
Waqt par kyaa bhoolnaa ho.

Waqt-e-paidaaish nah bhoole,
Kaifa yansaa kyoon qaza ho.

Yeh bhi Maula ‘arz kardu(n),
Bhool agar jaao toh kya ho.

Woh ho jo tum par giraa(n) hay,
Woh ho jo hargiz nah chaaho.

Woh ho jis ka naam lete,
Dushmano(n) ka dil buraa ho.

Woh ho jis key rad ki khaatir,
Raat din waqf-e-du’a ho.

Mar mite(n) barbaad bande,
Khanah aabaad aag ka ho.

Shaad ho iblees mal’oo(n),
Gham kisey iss qahr ka ho.

Tum ko ho wallah tum ko,
Jaano dil tum par fidaa ho.

Tum ko gham sey haq bachaaye,
Gham ‘adoo ko jaa(n) gazaa ho.

Tum sey gham ko kya ta'alluq,
Be-kaso(n) key ghamzida ho.

Haq duroodein tum pe bheje,
Tum mudaam us ko saraa ho.

Woh ‘ataa de tum ‘ataa lo,
Woh wohi chaahe jo chaaho.

Bar to ouw paashad to bar maa,
Taa abad yeh silsilah ho.

Kyoon RAZA mushkil sey dariye,
Jab Nabi mushkil kusha ho.



Connect With us