aaka ko pukar bande aaka ko pukar Naat Lyrics

aaka ko pukar bande aaka pukar

inshaallah ho jaega tera bera paar

aaka ko pukar bande...................

 

unke hath  me cool kunji hai

rab ne unhe mukhtar kiya

hum ko unka mangta banaya

or unhe sarkar kiya

jo sarkar ke dar ka gada hai

wo khud hai mukhtar

aaka ko pukar bande....................

 

kya kehana darbare nabi ka

uski shaan hi aali hai

har giz na mehrum wo lota

us dar ka jo sawali hai

aao chale ab suae madina

chhor ke sab dharbar

aaka ko pukar bande....................

 

aala hazarat ne yaro ye

sabak hame sikhlaya hai

jo gustakhe khuda wa nabi hai

apna nahi wo paraya hai

ha aise gustakho par

maula ki hai fitkar

aaka ko pukar bande....................

 

kyu gamgin hai tu ae 'sayyid'

dar par wo bulwaenge

ranjo gam sab dur karege

soae bhug jagaenge

or bhi koy unke siwa hai

dukhiyo ka gam-khwar

aaka ko pukar bande....................

 

apni to pahechan yahi hai

apni to hai shaan yahi

daman mai kuchh or nahi hai

dil mai hai armaan yahi

itni parhu me unki naate

razi ho  sarkar

aaka ko pukar bande....................

 

yade nabi me tu ae 'razwi'

unki midahat karta ja

deewaro ka dil bhar aae

zom ke naate parhata ja

jald madine jaaega tu

lagate hai aasar

aaka ko pukar bande....................




Connect With us