Tum Ho Jane Ali Daata Hindal Wali Naat Lyrics

Tum Ho Jane Ali Data Hindal Wali
Mere Khwaja Piya (X2)

Maula Ali Ke Noor E Nazar Ho (X2)
Pyaare Nabi Ke Lakhte Jigar Ho (X2)
Hum Par Inayat Shaam O Shahr Ho
Saiyad E Mohtaram Kardo Kardo Karam (X3)
Mere Khwaja Piya (X2)

Tum Ho Jane Ali Data Hindal Wali
Mere Khwaja Piya (X2)

Usman Ke Pyaare  Dukhiyo Ke Waali (X2)
Koi Bhikari Koi Sawali (X2)
Dar Se Tumhare Lauta Na Khali
Tum Ne Sab Ko Diya Sadqa E Chistiya (X2)
Tum Ne Sab Ko Diya Khwaja Sab Ko Diya (X2)
Sadqa E Chistiya

Mere Khwaja Piya (X2)
Tum Ho Jane Ali Data Hindal Wali
Mere Khwaja Piya (X2)

Jisne Bhi Tumko Dukh Me Pukara (X2)
Usko Diya Hai Tum Ne Sahara (X2)
Mera Bhi Daman Bhar Do Khudara
Waliye Bekhasa Khwaja E Khwajga (X2)
Mere Khwaja Piya (X2)

Tum Ho Jane Ali Data Hindal Wali
Mere Khwaja Piya (X2)

Yaad Jab Aay  Tumri Nagariya
Chanda Ki Jaisi Dholi Atariya
Tadpu Mai Jaise Jal Bin Machaliya
Ab To Kirpa Karo Haat Sar Pe Dharo (X2)
Khwaja Kirpa Karo

Mere Khwaja Piya
Tum Ho Jane Ali Data Hindal Wali
Mere Khwaja Piya (X2)

Nusrat Hai Tum Par Qurban Khwaja (X2)
Hum Sab Kahe Yeh Arman Khwaja (X2)
Kardo Is Ummat Pe Ehsaan Khwaja
Ek Nazar Daal Do Mushkile Taal Do (X2)

Mere Khwaja Piya
Tum Ho Jane Ali Data Hindal Wali
Mere Khwaja Piya (X2)



Connect With us