Sub Kuch Ye Mere Maa Ki Dowao Ka Sila He Naat Lyrics

Duniya mein muje jo bhi mila jitna mila hai
Sab kuchh ye meri maa ki duaon ka sila hai
Meri maa pyari maa Meri maa pyari maa

Gutti mein muje mid'hate sarkar mili hai
Hoton pe tabhi sayyade alam ki sana hai
Sab kuchh ye meri maa ki duaon ka sila hai
Meri maa pyari maa Meri maa pyari maa

Din raat ye mere wiranon se wiran the mere
Ab gulshane ummid ka har ful khila hai
Sab kuchh ye meri maa ki duaon ka sila hai
Meri maa pyari maa Meri maa pyari maa

Sunni hun mein chishti hun sana khwane nabi hun
Kya kya meri takdeer mein khalik ne likha hai
Sab kuchh ye meri maa ki duaon ka sila hai
Meri maa pyari maa Meri maa pyari maa

Maa baap ke uthe hue haathon ki badolat
Dekho mere malik ne muje kitna diya hai
Sab kuchh ye meri maa ki duaon ka sila hai
Meri maa pyari maa Meri maa pyari maa

Yaad aaye wafa maa ki toh beh jaate hein aansu
Dar asal ye sarkar ki sunnat se wafa hai
Sab kuchh ye meri maa ki duaon ka sila hai
Meri maa pyari maa Meri maa pyari maa

Ajmal hun mein sad sayyada zohra ke bachon ka
Dil mein mere hasanain ki amma ki haya hai
Sab kuchh ye meri maa ki duaon ka sila hai
Meri maa pyari maa Meri maa pyari maa

Be adabi jo maa dhi kitti fir kuj nai rehna palle
Rabb ne jannat rakh chhadi ae  Maa dhe peira thalle
Mere Aqa ne farmaya Tussi karlo khidmat maa dhi
Jisne kaaba takna hove takle surat maa dhi

Maa dhi khidmat kar bustami ucha rutba paya
Maa hai pela murshid ajmal bahu ne farmaya

Hasde chahere wekh na sade oh sun le gal andar dhi
Maa jis din bhi tur gayi Ajmal ronak tur gayi ghar dhi



Connect With us