Nabi Ka Aastan Ho Or Mera Sar Ho To Kia Kehna Naat Lyrics

Nabi Ka Aastan Ho Or Mera Sar Ho To Kehna

Dame aakhir agar aisa mukadar ho to kia Kehna

Nabi ka aastan ho………………………………………..       


Jinhe aa aa ke chhuti ho hawae sabz gumbad ki

Meri turbat main un phoolo ki chadar ho to Kia Kehna

Nabi ka aastan ho………………………………………..   


Kisi paththar ke niche meri turbat ho madine main

Wo paththar phir unhi ke dar ka paththar ho to kia kehna

Nabi ka aastan ho………………………………………..   


Khusha kismat jo dam bhar ko wo nazare zindagi bakhsh

Ye aalam zindagi ka zindagi bhar ho to kia kehna

Nabi ka aastan ho………………………………………..   


Khuda ka samna hain rubaru hain sahafa e mahashar

'Munwwar' ab zara nate munwwar ho to kia kehna

Nabi ka aastan ho………………………………………..   



Connect With us