Mein Sajdah Karun Ya Ke Dil Ko Sambhalun Naat Lyrics

Mein sajdah karun ya ke dil ko sambhalun muhammad ki chokhat nazar aa rahi hei
Issi be-khudi main kahiin kho na ja-un tarrap kamli waale ki tarrap aa rahi hei

Do aalam ka daata mere saamne hei ke kaabe ka kaaba mere saamne hei
Ada kyun na farz-e-muhabbat karun mein khuda ki khudaii jhuki ja rahi hei

Galai main hein zulfain to neechi nigahain nazar chuumti hei madine ki raahein
Farishte bhi barh kar qadam choomte hein muhammad ki jogan chali aa rahi hei

Faqeeri ka mujh main nahiin hei saleeqa na aata hei kuch maangne ka tareeqa
Idhar bhi nigaahe karam kamli waale zamane ki jholi bhari ja rahi hei

Farishto sar-e-raah ankhain bicha do uttho behr-e-tazeem sar ko jhuka do
Khuda keh raha hei mere dilruba ki wo dekho sawaari chali aa rahi hei

Ye farmaya haq ne ke pyaare muhammad hamare ho tum ham tumhare muhammad
Hamain apne jalwon main eh kamli waale tumhari hi surat nazar aa rahi hei

Ye jazba muhabbat hei rahmat khuda ki hei chokhat mere saamne mustafa ki
Mujhe kyun na ho naaz qismat pe muslim muhabbat kahaan ki kahaan la rahi hei



Connect With us