Koay Nabi Se Aa Na Sake Hum Naat Lyrics

Koay Nabi (SAW) se aa na sake hum,rahat hi kuch aisi thi
Ko-e-nabi se aaa na sake hum,rahat hi kuch aisi thy
Yaad rahee na jannat humko, jannat hi kuch aisi thee
Yaad rahi na jannat humko, jannat hi kuch aisi thi.

Takkte rahein Yousaf jaise bhi, hashr main unke chehre ko
Takkte rahe yousaf jaise bhi hashr main unke chehre ko
Jab poocha tu kehnay lagay woh, surat hi kuch aisi thee
Jab poocha tu kehne lage woh, surat hi kuch aisi thee.

Yaad rahi na jannat humko, jannat hi kuch aisi thee.

Bolo aey Jibreel ke unki, kyun kar taliyan choomi thein
Tu kehne lage Jibreel ke, unki azmat hi kuch aisi thee
Kehne lage Jibreel ke, unki azmat hi kuch aisi thee.

Yaad rahee na jannat hum ko, jannat hi kuch aisi thee
Yaad rahee na jannat hum ko, jannat hi kuch aisi thee.

Duniya mein, Sarkaar (SAW) ki naatein, parhtay rahein har eik lamha
Qabr mein beti naat labhoon par, aadat hi kuch aisi thi.
Qabr mein beti naat labhoon par, aadat hi kuch aisi thi.

Yaad rahi na jannat humko, jannat hi kuch aisi thee.

Pass bulaya, pass bithaya, arsh pe unko Khaliq nay
Yeh to akhir hona hi tha, chahat hi kuch aisi thee
Yeh to akhir hona hi tha, chahat hi kuch aisi thee.

Yaad rahee na jannat humko, jannat hi kuch aisi thee.

Akbar-o-Asghar, aur yeh Ghazi, deen pe warein hans hans kar
Yoon lagta hai, deen-e-Nabi ki, keemat hi kuch aisi thee
Yun lagta hai deen-e-nabi ki, keemat hi kuch aisi thee.

Kabr main Hakim jab puhanche to hans ke nakeeron ne dekha
Kyon na farishte pyaar say milte, nisbat hi kuch aisi thee
Kyon na farishte pyaar say milte, nisbat hi kuch aisi thy.

Yaad rahee na jannat humko, jannat hi kuch aisi thee
Yaad rahee na jannat humko, jannat hi kuch aisi thee.

Ko-e-nabi se aaa na sake hum,rahat hi kuch aisi thee
Ko-e-nabi se aaa na sake hum,rahat hi kuch aisi thee.



Connect With us