khak muj me kamal rakhkha hai Naat Lyrics

Khak muj mai kamal rakhkha hai

Mustafa(saw) ne sambhal rakhkha hai


Mere aibon pe dal kar parda

Apne achchho mai dal rakhkha hai

Mustafa(saw) ne sambhal.................

 

Sab ne thukara diya to kya parwah

Apne to khyal rakhkha hai

Mustafa(saw) ne sambhal.................

 

Unki rahamat nahi fakt hum par

Gair ka bhi khyal rakhkha hai

Mustafa(saw) ne sambhal.................

 

Usko koy gira nahi sakata

Jisko tune sambhal rakhkha hai

Mustafa(saw) ne sambhal.................

 

Jo tumhara nahi use hamne

Apne dil se nikal rakhkha hai

Mustafa(saw) ne sambhal.................


Un ke kadamo me maut aa jae

Bas yahi ek saval rakhkha hai

Mustafa(saw) ne sambhal.................

 

Tera 'aejaz' kab ka mar jata

tere tukaro ne paal rakhkha hai

mustafa(saw) ne sambhal.................



Connect With us