jidhar dekhu madine ka haram ho Naat Lyrics

Chhol aaya hu dilojan ye kehakar aazam

Aa raha hu mera saman madine main rahe


Muj khatakar sa insan madine main rahe

Banke sarkar ka maheman madine main rahe


Yad aati hain muje aehale madina ki ye bat

Zinda rehana hain to insan madine main rahe


Ab zara sunlo muj se bhi mere dil ki ye bat

Ke zinda rehana ho to insan madine main mare


Jidhar dekhu madine ka haram ho

Karam aesa shahanshahe umam ho


Kaha sarkar daulat mangta hun

Madine ka ata mujko to gam ho

Jidhar dekhu madine ………….


Bakiya zindagi yu kash guzare

Mera sar ho tera babe karam ho

Jidhar dekhu madine ………….


Kare parvaz ruhe muzatarib jab

Tere kadmo main sar shahe umam  ho

Jidhar dekhu madine ………….

 

Mita sakta nahi koi bhi usako

Ke hami jiska khud shahe umam ho

Jidhar dekhu madine ………….

 

Mere aaka madine main bulalo

Karam ab ya rasule mohatasham ho

Jidhar dekhu madine ………….

 

Mera sina madina tum banado

Shaha zikre madina dam-b-dam ho

Jidhar dekhu madine ………….



Connect With us