Jab nazar Utthi nabi ki aasma ke samne Naat Lyrics

Jab nazar Utthi nabi ki aasma ke saamne
Chand sharmane laga shamshudduha ke samne

Gar ishara hazrate shabbir farmate waha
Zamzamo kousar ubalte karbala ke samne

Haat utha kar jab mere sarkar ne ki hai dua
Duba suraj aa gaya mushkil kusha ke samne

Rahato taskin me sab gham mere dhalne lage
Aa nahi sakti bala maa ki dua ke samne

Jab zaba se kum be izni aapne farma dia
Murda zinda ho gaya ghousul wara ke samne

90 lakho pae welayat ki nazar jab daal di
Sab musalma ho gaye khawaja pia ke samne

Ham gunahgaro ka ajmal ye dili arman hai
Kaash padhte naat ham noore khuda ke samne

Submit By Ajmal Raza



Connect With us