Gungunane ke liye salle ala kaafi hai Naat Lyrics

Dil bahelne ko madine ki hawa kaafi hai
Gungunane ke liye salle ala kaafi hai

Dilse zamzam ka agar ek hi qatra pilo
Theek hone ke liye bas ye dawa kaafi hai

Bheek bharat ki hukumat se bhala kyu mangu
Mujhko sarkar e do aalam ata kaafi hai

Pyare shabbir se zainab ne kaha aye bhai
Dushmano ke liye asgar hi mera kaafi hai

Kis liye gair ka ehsan uthaun faizi
Mere haq me to meri maa ki dua kaafi hai

SUNNI MISSION BDN SIDDIQ RAZA



Connect With us