Ghaus ul azam shah e jeelan Naat Lyrics

ya ghaus ul azam aapke dar laga hoon main
kuch gham nahi hai mujhko agar naarasa hoon main

beheela bewaseela hoon betaab o natawaan
imdaad tum karoge meri jaanta hoon main

ghaus ul azam shah e jeelan
majhdaar mein nayiya hai
sadka maula ali aao
meri laaj nibha jaao

tu lajpaal te main laj teri
lagiyaan di lajj paalin ve meera

main neevan mera meera uncha
uncheyan de sang laayi
sadke jaan ehna uncheyan ton
jehna neeveyan naal nibhaayi

barbaad mujhe karde
toofan ka iraada hai
kashti meri dubone ko
har mauj amaada hai

majboor bahut hoon main
aise mein tum aa jaao
sadka maula ali aao
meri laaj nibha jaao

main bhi reham ke kaabil hoon
dukh dard ka maara hoon
fariyaad suno imdaad karo
aakhir main tumhaara hoon

karo nazar e karam meera
mere kaam bana jaao
sadka maula ali aao
meri laaj nibha jaao

duniya mein bata dijo
aur kaun hamaara hai
ab raah e khuda sunn lijo sada
maine tumko pukaara hai

hasnain ke jaani ho
meri bigdi bana jaao
sadka maula ali aao
meri laaj nibha jaao

khaaki pe shah e jeelan
rehmat ki nazar kar do
saans rukne laga aaya waqt e niza
meera ko khabar kar do

bakhshish meri ho jaaye
soorat to dikha jaao
sadka maula ali aao
meri laaj nibha jaao



Connect With us