Aasiyo Ko Dar Tumhara Mil Gaya Naat Lyrics

Aasiyo ko dar tumhara mil gaya
Be thikano ko thikana mil gaya

Fazle rab se fir kami kis baat ki
Mil gaya sab kuchh jo Tayba mil gaya

Kashf-e-roze mar rahani yu hua
Tum mile to haq Ta'ala mil gaya

Unke darne sabse mustagni kiya
Be talab be khvahish itna mil gaya

Na-khudai ke liye aae huzur
Dubato niklo sahara mil gaya

Ankhe purnam hogai sar juk gaya
Jab tera naksh-e-kaf e pa mil gaya

Khuld kesa kya chaman kiska vatan
Mujko sehra-e-madina mil gaya

Unke talib ne jo chaha paliya
Unke saeel ne jo manga mil gaya

Tere darke tukde hai aur me garib
Mujko rozi ka thikana mil gaya

Ae HASAN fir to sune jae janab
Ham ko sehra-e-madina mil gaya



Connect With us